Monday, December 20, 2010

Poem No 14

Kis Simt Outar Jaon Kuch Kah Nahin Sakta
Jion Phir Ya Ke Mar Jaon Kuch Kah Nahin Sakta

Koi Justujoo Paida Karon Main Phir Se Jiney Ki
Ya Tere Hijr Mein Ghir Jaon Kuch Kah Nahin Sakta

Tumhare Dar Se Jab Outh Hi Gaye To Pochte Kia Ho
Mar Jaon Ya Ghar Jaon Kuch Kah Nahin Sakta

Misl-e-Gull Hon Main Mujh Se Guraiz Hi Acha
Kia Janay Kab Bikhar Jaon Kuch Kah Nahin Sakta

Mumkin Hai Kisi Roz Jafa Ki Padash Mein Amjad
Tujhay Main Qatl Kar Jaon Kuch Kah Nahin Sakta.

Sunday, December 19, 2010

Poem No 13

Raakh Mein Simtta Dayyar Dekhta Raha
Chup Chaap Khara Sogwar Dekhta Raha

Be Basi Se Takti Rahi Meri Be Basi
Main Be Basi Ko Baar Baar Dekhta Raha

Hamdardian, Tasalian Hamrah Thin Magar
Darkaar Thaa Jo Mujh Ko Pyare Dekhta Raha

Yaqeen Thaa Mujh Ko Ke Too Na Aaye Ga Lekin
Phir Bhi Main Tera Intizar Dekhta Raha

Tarpa Hon Is Qadar Ke Ainay Ke Samnay
Ja Kar Main Tujh Ko Baar Baar Dekhta Raha.